hum jaante hain
ye duniya hamein jine nahin degi
fasle ki diwaren
hum donon ke darmiyan
baDhti rahengi
ye kaisa rishta hai
hum donon apne apne ehsasat se waqif hain
magar ye rasm-o-riwaj
aadmi se aadmi ki tafriq ke
hum donon mahz apni aankhon ke alawa
ek dusre ko chhu nahin sakte
aab-e-zam-zam ya ganga-jal
ek rang, ek KHumar aur ek ehsas
kyun na hum donon
ek aafaqi rishte se
munsalik ho jaen
aise rishte se
ki jahan talwaren jhuk jati hain
aur angare ban jate hain phul
aur nila aasman muskura uThta hai
aao aaj
tum meri kalai mein ye rakhi bandh do
hum donon apni apni
anokhi chahat ke hawale se
ban jaen janm janm ke sathi
aTuT ho jaenge jab
phir shayad zamana ungli nahin uTha sakega!!
Nazm
Rishte ki sachchai
Ehsan Saqib