اردو हिंदी
Rijaiyat ki himayat mein | Shaahi Shayari
rijaiyat ki himayat mein

Nazm

Rijaiyat ki himayat mein

Kumar Pashi

;

be-irada chalenge to la-hasili ke masaib se bach jaenge
tum kahoge koi phul rakh dusre hat par

dil hi dil mein main ro dunga is baat par
main kahunga

nahin kuchh na kah paunga
qahqaha mar kar bas hansunga tumhein bhi hansi aaegi

be-irada yunhi
be-irada hansenge yunhi der tak

phir KHayal aaega: tum ne ek baat mujh se kahi thi
batao: wo kya baat thi

tum kahoge haTao bhula do use
aao chal den yunhi

be-irada kahin
bhul jaen ki us ke gunahgar hain

us ke qatil hain hum
bhul jaen ki apni saza maut hai