اردو हिंदी
Rihai | Shaahi Shayari
rihai

Nazm

Rihai

Kafeel Aazar Amrohvi

;

suna hai ki buDhi haweli mein har shab
bhaTakti hai ek ruh jis ke badan par

purani riwayat ke
khokhle-pan ka malbus hai

jis ki peshani ke zaKHm se
KHun bahta hai mazi ki tahzib ka

aur wo chiKHti hai
ki buDhi haweli se us ko nikalo

purani riwayat ke khokhle-pan ke malbus ko phaD Dalo
suno shahr walo