sham ki rakh mein luthDi hui Dhalwanon par
ek rewaD ke thake qadmon ka maddham aahang
jis ki har lahar dhundlakon mein luDhak jati hai
mast charwaha chara-gah ki ek choTi se
jab utarta hai to zaitun ki lanbi sonTi
kisi jalti hui badli mein aTak jati hai
bakriyan dasht ki mahkar mein gundha hua dudh
chhagalon mein liye jab raqs-kunan aati hain
koi chuDi KHam-e-dauran pe chhanak jati hai
jast bharti hai kabhi aur kabhi chalte chalte
nachti Dar mimakate hue buzghaalon ki
har jhuki shaKH ki chaukhaT pe ThiThuk jati hai
san par lakh chhuri siKH pe sad-para gosht
phir bhi madhosh ghazalon ki ye Toli hai ki jo
bar bar apne KHat-e-rah se bhaTak jati hai
sham ki rakh mein luthDi hui Dhalwanon par
khelti hai gham hasti ki wo shadan si umang
jis ki rau waqt ki pahnaiyon tak jati hai
Nazm
RewaD
Majeed Amjad