اردو हिंदी
Ret sahra nahin | Shaahi Shayari
ret sahra nahin

Nazm

Ret sahra nahin

Akhtar Husain Jafri

;

ret sahra nahin, ret dariya nahin
ret bas ret hai

main faqat main hun aur meri taswir par jo hai mazkur
pahchan meri nahin

mujh mein kitna azal
mujh mein kitna abad, kitni tariKH hai

main nahin jaanta
aise din raat ko dil nahin manta, por par jin ki ginti Thaharti nahin

aaj bas aaj hai
kal sahar tak yahi aaj taraj hai