Ret par safar ka lamha | Shaahi Shayari
ret par safar ka lamha

Nazm

Ret par safar ka lamha

Ahmed Shamim

;

kabhi hum bhi KHub-surat the
kitabon mein basi

KHushbu ki surat
sans sakin thi

bahut se an-kahe lafzon se
taswiren banate the

parindon ke paron par nazm likh kar
dur ki jhilon mein basne wale

logon ko sunate the
jo hum se dur the

lekin hamare pas rahte the
nae din ki masafat

jab kiran ke sath
aangan mein utarti thi

to hum kahte the
ammi titliyon ke par

bahut hi KHub-surat hain
hamein mathe pe bosa do

ki hum ko titliyon ke
jugnuon ke des jaana hai

hamein rangon ke jugnu
raushni ki titliyan aawaz deti hain

nae din ki masafat
rang mein Dubi hawa ke sath

khiDki se bulati hai
hamein mathe pe bosa do

hamein mathe pe bosa do