اردو हिंदी
Ret aur dard | Shaahi Shayari
ret aur dard

Nazm

Ret aur dard

Baqar Mehdi

;

muddaten guzrin mere dil ko hue virana
aandhiyan bhi nahin aatin

ki uDe ret miTe naqsh-e-sarab
aur ek dard ka chashma

mundamil zaKHmon se phuTe nai KHunki le kar
pyas jag uTThe sukut-e-dil-e-muztar TuTe

taki main dekh sakun
apni be-KHwab si aankhon se wo manzar ek din

ret ke tode fazaon mein uDe jate hain
aur KHush ho ke kahun

zindagi ret sahi dard ka chashma bhi to hai