tere aatish-fishanon se bahte hue
surKH-sailab ki pesh-goi
olympus ke aatish-kade se
sunahri hararat ki rahat chura kar
prometheus ke zamin par utarne se pahle
bahut pahle tariKH ke ghaar mein ek
sah-chashme ifrit ne is kahani mein ki thi
jise paDh ke KHud us pe diwangi ka wo daura paDa
KHud ko andha kiya
phir sunata raha dastan andhi taqat ki
barbaadiyon par rulata raha
aankh se sat sagar bahe
ret lekin hamesha ki pyasi
bujhati rahi aansuon se mere pyas ki aag ko
tu nahin jaanta ret ki pyas ko
ret ki bhuk ko
ret ki bhuk aisi ki jis mein sama jaen
loha ugalte pahaDon ke sab silsile
pyas aisi ki jis mein utar jaen
sare samundar
tere aansuon ke
magar tere aansu Tapakne mein kuchh der hai
der kitni lagi
hathiyon ki qataron ko
zer-e-zamin
tel aur tar bunne ki miad se KHub waqif hai tu
tu isi tel ki bu pe pagal hua
aur dhamakta dharapta hua
aa gaya ret ke raj mein
waqt ke aaj mein
waqt ka aaj tera hai jis mein
mirriKH o maraiKH se aage rasai hai teri
magar ret to par nahin taqat-e-par nahin dekhti
panw ko taulti hai
kise solti hai
Nazm
Ret
Ali Mohammad Farshi