qais aasuda-e-naqsh raqsh-e-rawan
hairat-e-chashm parina hai
ret aaina hai
aur zangar-e-aina har aalam-e-chaub-o-abresham-o-KHakdan
ret aaina hai
jab manaron mein ghanTi baji
wo achanak muDi kal yahan koi tha
wo gajar dam uThi
us ne angDai li kal yahan koi tha
sanp lahraati saDkon pe chalte hue wo ruki
kal yahan koi tha
kal yahan kaun tha
qais aasuda-e-naqsh raqs-e-rawan
kaun suraj ko angar-zadon ke ghar le gaya
kal yahan bin muradon ki barish ka pahla phuwara paDa
qais aagah-e-dad-o-rasad
qais be-kin-o-kad
ret aaina hai aur zangar-e-aina har aalam-e-chaub-o-abresham-o-KHak-dan
KHauf ek saya-e-saiban
sare ghar band hain
sare ghar band hain aur darichon pe baiThi hui laDkiyan mujh pe hansne lagin
nind ek chandni
nind patthar pe phaili hui chandni
kaun patthar pe chalta rahe aur sambhalta rahe
kaun sota rahe
ret aaina hai
qais aasuda-e-naqsh raqs-e-rawan
hairat-e-chashm parina hai
ret aaina hai
Nazm
Ret aaina hai
Mohammad Anvar Khalid