اردو हिंदी
Renge lamhon ka KHauf | Shaahi Shayari
renge lamhon ka KHauf

Nazm

Renge lamhon ka KHauf

Kausar Niyazi

;

main atom-bomb ke Dher pe baiTha soch raha tha
ye raushniyon aur rangon ka sailab-e-rawan

ye resham ke lachchhon aisa narm badan
ye barf ke gale se is nanhe seb ki nind

ye us ki farishton jaisi masumana hansi
ye gandum ke danon se nanhe nanhe dant

ye kaliyon ki manind tar-o-taza ruKHsar
ye gesun ki KHushbu se na-waqif nak

ye cigarette ke dhuen se begana dahan
ye mere apne dil si kushada peshani

ye subh ki pahli kirnon jaise us ke baal
ye sab kuchh us ka apna hai lekin phir bhi

ye sab kuchh aaKHir kab tak us ka apna hai
ye mera apna KHun hai mere hathon mein

ya meri sahmi sahmi be-KHwab aankhon mein
ye mustaqbil ka koi bhayanak sapna hai

main KHud apni hi sochon ke par noch raha tha
main atom-bomb ke Dher pe baiTha soch raha tha