mez par aKHbar ke phaile waraq
bikhre bikhre tera tera chaak chaak
Dhal gai hai qalib-e-alfaz mein
sina-e-hasti ki aah-e-dardnak
pas hi diwar ko Teke hue
radio garm-e-suKHan mahw-e-bayan
chiKHti hain jama-e-awaz mein
KHun ke chhinTe lahu ki bundiyan
sham reading room ki maghmum sham
chand kan elanchi ki baat par
chand aankhen soch mein Dubi huin
murtakiz aKHbar ke safhat par
ek kamre mein simaT kar aa gae
kitne dukhDon ke sada-paikar huruf
kitne dardon ke mistar zamzame
kitne andhe gyani bahre falyasuf
phir bhi kuchh idrak mein aata nahin
kya hai raqs-e-gardish-e-ayyam kya
ek shikasta naw ek KHuni bhanwar
kya hai is afsane ka anjam kya
ye mufakkir kuchh samajh sakte nahin
chhat ke niche rauzanon ke darmiyan
gol gol aankhon ke andar mahw-e-did
kale pare ki muraqqas putliyan
kash ye hairan kabutar jaante
KHufta hai un kaghazon ki satah par
kitne phanakte aashiyanon ka dhuan
kitne naKHchiron ki aahon ke sharar
hain in aawazon ke andar par-kusha
kitne kargas jin ko murdaron ki bu
khinch lai hai sar-e-diwar-e-bagh
chhat ke niche muztarib nazzara-KHu
fikrmand aankhon mein hairan putliyan
ye kabutar dekhte thakte nahin
dekhte hain sochte hain kya karen
ye mufakkir kuchh samajh sakte nahin
Nazm
Reading room
Majeed Amjad