jahan pe main hun
bas ek kuhra-zada faza hai
jidhar bhi dekho safed chadar Tangi hui hai
nahin hai koi zamin aisi ki jis pe mein apne panw rakhun
buland-o-baala pahaDon se
hazaron patthar luDhak rahe hain
aur aandhiyan siTiyan bajati guzar rahi hain
qadim bhuri pahaDiyon se wo karwan bhi to TuT aaya
talash mein jo na jaane kis ki bahut dinon se bhaTak raha tha
wo garz-bardar sab farishte bhi mar chuke hain
jo KHair-o-shar par nigah rakhne ke waste the
koi bhi mizan nek-o-bad ki nahin hai qaem
yahan ab apne qayam ki koi saat mo'atabar nahin hai
uThao sahil se kashtiyon ko
bahao ka waqt ho gaya hai
Nazm
Rawangi
Khaliq aashiqtAbdullah