rawan hun main
aur is rawani mein
ahd-dar-ahd ki jarahat-numa basarat ki KHak ka wo bhanwar hai
jis mein
mere shab-o-roz ka ghubar-e-siyah
mere sang ghumta hai
rawan hun main
aur KHud pe aur sab pe hans raha hun
ki meri manind hum sabhi waqt ki khaDi cycle ka
gardish-pazir pahiya hain na-masafat-e-nau ru-gardan
ki na-rasai ke KHisht-KHanon ki chimniyon se nikalne wale
huruf-e-paspa ke sab dhuen sarf-e-raegan hain
ye mehwar-e-KHak kya hai
kis gardish-e-muallaq ka istiara hai
hum kahan hain
main hans raha hun
safed-mu sir pe kuhl-umri ki barf rakkhe
ki aaj main apne ahd ka aur shahr ka wo zamir bhi hun
jo aaj aur kal ke moD par hai
jo dekhta aur sochta hai
ki hum buzurgan-e-sahab-e-iKHtiyar ki umr-KHurda danish
khaDe safar ke asir waqton ki kaisi zanjir ban gai hai
ki jo hamari siyah-shab KHak se lipaT kar
sabhi ki taqdir ban gai hai
jo aaj se milne wale kal ki har ek saat pe halqa halqa utar rahi hai
jo sochta hai
ki hum buzurgan-e-sahab-e-iKHtiyar ki aankh KHud se kaT kar
hamari nauha-gari ki aarasta shabihon ko kal ke imkan ke nashron ko kab paDegi
jo sochta hai
ki ye salasil ki raat lambi hai
aur na jaane tulu-e-subh-e-najat kab ho
ki hum buzurgan-e-sahab-e-iKHtiyar ke faisle ki saat
hamare KHwabon ke sath kab ho
Nazm
Rawan hun main
Iqbal Kausar