garmi-e-KHurshed ka
ek naqsh-e-muztarib
rauzan-e-diwar-e-shab
KHush-ada pur-kar hai
nur se sarshaar hai
sail-e-mauj-e-shahar mein
wo utarne ko hai ab
KHair-maqdam ke liye
jagte hain chashm-o-lab
meri KHatir shahr mein
wo farozan jism-o-jaan
wo daraKHshan pairahan
wo sunahra bankpan
shoala-e-tanwir hai
KHun mein tahlil hai
subh ki taswir hai
us ka ru-e-shadman
hashr ke hangam tak
mere dil mein jawedan
Nazm
Rauzan-e-diwar-e-shab
Balraj Komal