raushni tez karo, tez karo, tez karo
gum hai andesha-e-imroz ki zulmat mein hayat
zohra o mah se mahrum hai jazbaat ki raat
zafaran-zar bahishton mein bhi uDta hai ghubar
KHuld-bardosh fazaen hain jahannam ba-kanar
tishnagi subh ki, mamura-e-hasti mein hai aam
rakh do zulmat ki hatheli pe koi nur ka jam
aur is gham ke andhere ko na angez karo
raushni tez karo, tez karo, tez karo
dar-o-diwar pe sae ki musalsal paikar
azdahe laDte hue jaise miyan-e-kohsar
aur mehrab-e-shikasta mein purani qindil
be-par-o-baal si aandhi ki satai hui chil
KHak par KHun mein Dube hue qadmon ke nishan
sehn mein kushta charaghon ki chitaon ka dhuan
in chitaon ko saman-posh o saman-rez karo
raushni tez karo, tez karo, tez karo
raushni rah mein baqi hai na kashanon mein
qumqume TuTe hue Dher hain viranon mein
raat hai ya ki siyahi ka koi koh-e-buland
kab sahar phenkegi is koh pe kirnon ki kamand
yas ne zist ke ehsas ko ghera kyun hai
ghuT gaya dam ye ghaTa-Top andhera kyun hai
sathiyon! shisha-e-gulnar ko gul-bez karo
raushni tez karo, tez karo, tez karo,
ju-e-KHun chashm-e-tamanna se rawan hai ye kyun
zindagi su-e-tabassum nigaran hai ye kyun
ruh-e-insan ko mile zulmat-e-dauran se najat
saj do maghmum fazaon mein charaghon ki baraat
sogwarana sahi jashn manana hoga
kanpte hathon se ye jam uThana hoga
tham kar dil ko uTho azm-e-tarab-KHez karo
raushni tez karo, tez karo, tez karo
Nazm
Raushni tez karo
Shamim Karhani