dilon mein dard dimaghon mein kashmakash ka dhuan
jabin pe KHak nigahon mein gham ki tariki
fareb khae hain hum ne fareb khate hain
fareb de na sake hum magar zamane ko
hamein to fikr yahi hai ki kaun aaega
hamare baad lahu ke diye jalane ko
wo zindagi jo sabhi ko aziz hoti hai
hum ahl-e-gham ke na yun pas aa sakegi kabhi
qadam qadam pe jinhen justuju ho chahat ki
unhen rafiq na duniya bana sakegi kabhi
KHala mein DhunD rahe hain hum ek masiha ko
hatheliyon pe aqidat ke aaftab liye
shuur-o-hosh ki duniya hai ek muddat se
nazar nazar mein nai raushni ke KHwab liye
wasia dasht-e-tamanna ke surKH sine par
sulagte dard ka aanchal na sard hoga kabhi
charagh-e-umr bujhana to KHair mumkin hai
charagh-e-jehd musalsal na sard hoga kabhi
dhuan ugalte andheron mein raushni bhar den
ragon mein KHun ki gardish ko tez-tar kar den
Nazm
Raushni raushni ke KHwab
Chandrabhan Khayal