do samundar jahan aapas mein mila karte hain
main ne kitne sahar o sham guzare hain wahan
main ne dekhi hai nikalte hue suraj ki kiran
aur kal hote hue din ki shafaq dekhi hai
main ne maujon ke talatum mein guhar DhunDe hain
aur pae hain KHazaf reze bhi
jal pani se jab ek bar nikala main ne
ek ghaDa ret bhara hath aaya
sabt thi mohr-e-sulaiman jis par
aur khola to dhuen ka baadal
peT se us ke numudar hua
aadmi ke liye ye behtar hai
ki muqaffal hi rahen kuchh chizen
ye fazaen ye sitare ye falak
waqt-e-gardan ki musalsal Tik Tik
jaanwar kiDe makoDe hashraat
machhliyan aur tuyur
aur insan jo pahle din se
aaKHiri roz talak
maut ki samt chala karta hai
justuju par mujhe uksate hain
aah lekin ye talash
kar gai aur bhi hairan mujh ko
kyun wo kashti hui suraKH-zada
jis mein hum raat ko par utre the
rah chalte hue muDbheD hui thi jis se
kis KHata par wo jawan qatl hua
kitne be-bahra the tahzib se is shahr ke log
jin ko aate na the mehman-nawazi ke tariq
phir bhala kis liye un ki KHatir
hum ne girti hui diwar ko tamir kiya
raaz par raaz chhupa rakkhe hain ek buDhe ne
aur hum hain ki phira karte hain
har larazte hue sae ka taaqub karte
shama ki lau jise har aan badal deti hai
do samundar ka jahan sangam hai
main ba-dastur khaDa rahta hun
dekhta hun kabhi uDte hue zarraat ka raqs
kabhi maujon ko sada deta hun
aur aksar shab-e-tanhai mein baiTha baiTha
un jaziron ko taka karta hun
jin ke jalte hue, bujhte hue minara-e-nur
meri manzil ka pata dete hain
Nazm
Raushni ke minar
Muneebur Rahman