rahguzar par shor-o-ghul ka sail hai
bah raha hai KHushk tinke ki tarah
ye jahan-e-rang-o-bu
ghumte pahiyon dhaDakti gaDiyon ki hichkiyan
dastan-dar-dastan uljhi hui hain chaar-su
dard se sahme hue KHwabon ke lakhon qafile
gamzan hain su-e-hasrat hausle thame hue
main bhi un mein tum bhi in mein sari duniya un mein hai
KHamushi bhi naghmagi bhi ashk-o-KHun bhi un mein hai
kuchh nigahen arsh par hain kuchh nigahen farsh par
waqt aandhi ki tarah
kar raha hai tez-tar is sail ko
hum kahan hain kaun si manzil pe hain
koi batlao koi aawaz do
koi batlao koi aawaz do
Nazm
Rau mein hai raKHsh-e-umr
Balraj Komal