rasm-e-andesha se farigh hue hum
apne daman ki shikan mein simTe
kaf-e-ayyam ki pur-pech lakiron mein kahin
apne aainda-e-nadida se sahme hue hum
gah ijmal-e-guzishta pe gulu-gir hue
jaise dhul jaega bechaari riwayat ke shanon ka ghubar
chand bimar iradon ki ayaadat chahi
gah nayab duaon ka shumar
aur taqrir ke pechida sawalat ko dohraate hue
ek ek kar ke sab ahbab ne ruKHsat chahi
rasm-e-andesha ki taqrib-e-mulaqat se farigh hue hum
rasm-e-andesha kisi aur zamane ka gunah
aur duniyaon ka jurm
jis ki zanjir-e-mukafat mein uljhe hue hum
apne ajdad ke aasar ke derina faqir
kasa-bar-dosh sar-e-dast-e-ata jate hain
maut bar-dosh sar-e-dast-e-ata jate hain
maut aur wasl ki tabir pe sargarm-e-kalam
apni tariKH ka insaf baja late hain
rasm-e-andesha ki tariKH-e-mukafat
ke mare hue hum
Nazm
Rasm-e-andesha se farigh hue hum
Azar Tamanna