koi shaKH-e-tishna-o-KHushk jis se hari na ho wo sahab kya
jo chhalak ke rang na bhar sake rag-o-resha mein wo shabab kya
dil-e-gum-shuda ko mein DhunDne kahin shab ko mahw-e-junun chala
to sada si aai ye sina se ki talash-e-KHana-KHarab kya
tarab-afrin sahi rut kabhi mile bar-e-soz ko saz mein
na tanawwo itna bhi jis ki tarz-e-nawa mein ho wo rabab kya
nahin phul phul mahak baghair khile bala se khila kare
ho masham-e-taza na jis ki ruh-e-shamim se wo gulab kya
shiknen ye sharm nihan ki hain nazar aa raha hai jo parda sa
tahon mein agar na haya-e-jalwa dabi hui to hijab kya
jo likhe the shauq se KHat unhen faqat itna un ka jawab tha
ki jawab aisi jasaraton ka sukut ho to jawab kya
jo pilai hai to ye masti-e-mae aish raat ka sath de
ho daraaz tishna na jis ka shama ke bujhne tak wo sharab kya
Nazm
Rashhat
Meem Hasan Lateefi