main ye chahti hun ki duniya ki aankhen mujhe dekhti jaen yun dekhti jaen jaise
koi peD ki narm Tahni ko dekhe
lachakti hui narm Tahni ko dekhe
magar bojh patton ka utre hue pairahan ki tarah sach ke sath hi farsh par ek masla hua
Dher ban kar paDa ho
main ye chahti hun ki jhonke hawa ke lipaTte chale jaen mujh se
machalte hue chheD karte hue hanste hanste koi baat kahte hue laj ke bojh
se rukte rukte sambhalte hue ras ki rangin sargoshiyon mein
main ye chahti hun kabhi chalte chalte kabhi dauDte dauDte baDhti jaun
hawa jaise nadi ki lahron se chhute hue sarsaraate hue bahti jati hai rukti
nahin hai
agar koi panchhi suhani sada mein kahin git gae
to aawaz ki garm lahren mere jism se aa ke Takraen aur lauT jaen Thaharne na paen
kabhi garm kirnen kabhi narm jhonke
kabhi miThi miThi fusun-saz baaten
kabhi kuchh kabhi kuchh nae se naya rang ubhre
ubharte hi tahlil ho jae phaili faza mein
koi chiz mere masarrat ke ghere mein rukne na pae
masarrat ka ghera simaTta chala ja raha hai
khula khet gandum ka phaila hua hai
bahut dur aakash ka shamiyana anokhi masahri banae rasile ishaaron se bahka raha hai
thapeDon se pani ki aawaz panchhi ke giton mein ghul kar phisalte hue ab nigahon se ojhal hui ja rahi hai
main baiThi hui hun
dupaTTa mere sar se Dhalka hua hai
mujhe dhyan aata nahin hai mere gesuon ko koi dekh lega
masarrat ka ghera simaTta chala ja raha hai
bas ab aur koi nai chiz mere masarrat ke ghere mein aane na pae
Nazm
Ras ki anokhi lahren
Meeraji