mere ham-raqs
main jab eDiyan apni uTha kar
tumhaare mazbut kandhon se pare
pas-manzar mein raqsan zist ko
wafa ka git gate dekhti hun
to meri masrur aankhen
wafur-e-ishq se be-tab ho kar kanpti hain
mere chehre ko
palkon ka naghma surKH karta hai
badan ka KHun ruKHsaron pe shoale phenkta hai
mohabbat mang mein meri
rupahli aur sunahri
afshan chhiDakti hai
main apni garm sanson se
mahakte aur ujle KHushnuma collar tale
tumhaari gandumi
chamkili damakti jild chhuti hun
mere mahbub lamhe machalte jugnuon jaise
mere malbus ke lahre se mil kar
daeron mein jhilmilate hain
tum apne bazuon ki
giraft-e-be-panah ko zara kam karo
ki main
tumhaari dhaDkanon ki tal par panw uThaun
mujhe Dar hai mera dil rasta na bhul jae
mutriba
saz baja
Nazm
Raqs
Rifat Naheed