nach han nach ki har shorish-o-hangama par
phail jae teri jhan-jhan ka hasin pairahan
nach han nach ki sine mein tere
ek moti ki tarah raaz zamane ka simaT kar rah jae
bazuon ko kabhi hone de daraaz
jama karne de KHad-o-KHal kabhi apni hasin aankhon ko
farsh-e-awaz pe rakh apne pur-asrar qadam
aur chamakte hue sangit ka jadu pi ja
nach sad-nashsha-o-shadabi se
nachti ja isi masti mein ki tu ek kanwal ban jae
aur tujh ko kisi talab ke sine mein utar aaen hum
bhut aa kar teri rangat mein basera kar len
aur hum
buDhe daraKHton ki kuhan-sal laTakti hui shaKHon
se lipaT kar roen
sal-ha-sal lipaT kar roen
Nazm
Raqs
Rajinder Manchanda Bani