wo rup rang rag ka payam le ke aa gaya
wo kaam-dew ki kaman jam le ke aa gaya
wo chandni ki narm narm aanch mein tapi hui
samundaron ke jhag se bani hui jawaniyan
hari hari rawish pe ham-qadam bhi ham-kalam bhi
badan mahak mahak ke chal
kamar lachak lachak ke chal
qadam bahak bahak ke chal
wo rup rang rag ka payam le ke aa gaya
wo kaam-dew ki kaman jam le ke aa gaya
ilahi ye bisat-e-raqs aur bhi basit ho
sada-e-tesha kaamran ho kohkan ki jit ho
Nazm
Raqs
Makhdoom Mohiuddin