asnam-e-imarat ka parastar hai aalam
sarmaya-e-ghaflat ka KHaridar hai aalam
kaTti hain sada sidq maqalon ki zabanen
haq-go ke liye arsa-gah-e-dar hai aalam
darwesh-e-KHuda nan-e-shabina ko hai muhtaj
go neamat-o-ikram ka bazar hai aalam
shadab hai din-raat gharibon ke lahu se
arbab-e-zar-o-sim ka gulzar hai aalam
KHud zahid-e-sad-sala giraftar hai jis mein
wo halqa-e-tazwir-o-fusun-zar hai aalam
har gam pe hai shoabada-e-nafs ka phanda
raqqasa-e-auham ka darbar hai aalam
dil KHizr ka hai naghma-e-be-mani pe raqsan
tahzib ke pazeb ka jhankar hai aalam
is qahba-e-bazari se rakho na tawaqqo
ehsan faramosh-o-ziyan-kar hai aalam
sar rakhta hai aawara-mizajon ke qadam par
ye haq mein wafadaron ke talwar hai aalam
shair ke nahin sine mein gunjaish-e-takiya
mana ki bahut dilkash-o-purkar hai aalam
is ahd-e-pur-ashob mein 'bebak' na puchho
kis darja jafa-kash-o-sitam-gar hai aalam
Nazm
Raqqasa-e-auham
Bebak Bhojpuri