اردو हिंदी
Raqib se! | Shaahi Shayari
raqib se!

Nazm

Raqib se!

Faiz Ahmad Faiz

;

aa ki wabasta hain us husn ki yaaden tujh se
jis ne is dil ko pari-KHana bana rakkha tha

jis ki ulfat mein bhula rakkhi thi duniya hum ne
dahr ko dahr ka afsana bana rakkha tha

aashna hain tere qadmon se wo rahen jin par
us ki madhosh jawani ne inayat ki hai

karwan guzre hain jin se usi ranai ke
jis ki in aankhon ne be-sud ibaadat ki hai

tujh se kheli hain wo mahbub hawaen jin mein
us ke malbus ki afsurda mahak baqi hai

tujh pe barsa hai usi baam se mahtab ka nur
jis mein biti hui raaton ki kasak baqi hai

tu ne dekhi hai wo peshani wo ruKHsar wo honT
zindagi jin ke tasawwur mein luTa di hum ne

tujh pe uTThi hain wo khoi hui sahir aankhen
tujh ko malum hai kyun umr ganwa di hum ne

hum pe mushtarka hain ehsan gham-e-ulfat ke
itne ehsan ki ginwaun to ginwa na sakun

hum ne is ishq mein kya khoya hai kya sikha hai
juz tere aur ko samjhaun to samjha na sakun

aajizi sikhi gharibon ki himayat sikhi
yas-o-hirman ke dukh-dard ke mani sikhe

zer-daston ke masaib ko samajhna sikha
sard aahon ke ruKH-e-zard ke mani sikhe

jab kahin baiTh ke rote hain wo bekas jin ke
ashk aankhon mein bilakte hue so jate hain

na-tawanon ke niwalon pe jhapaTte hain uqab
bazu tole hue manDlate hue aate hain

jab kabhi bikta hai bazar mein mazdur ka gosht
shah-rahon pe gharibon ka lahu bahta hai

aag si sine mein rah rah ke ubalti hai na puchh
apne dil par mujhe qabu hi nahin rahta hai