mujhe rangoon se jab dawat-e-sher-o-suKHan aai
tabiat fasle aur waqt ke chakkar se ghabrai
dil-e-bargashta ko lekin ye main ne baat samjhai
nahin kuchh subha-o-zunnar ke phande main girai
wafadari mein shaiKH o barhaman ki aazmaish hai
wahan rangini-e-sher-o-suKHan ki aazmaish hai
karachi se piya ki god mein hindostan aaya
nai dehli se kahne ko purani dastan aaya
jawani ke liye yaaden main su-e-gulistan aaya
barae ahl-e-mahfil aur ba-yaad-e-raftagan aaya
wo maskan tha wo madfan hai bahut se ahl-e-iman ka
wo ek gul-dasta hai hum be-KHudon ke taq-e-nisyan ka
wo aisi sarzamin hai jis mein ahl-e-dil abhi tak hain
jo shaiKH o barhaman urdu ke hain qabil abhi tak hain
nishan-e-'mir'-o-'ghaalib', 'dagh' aur 'sail' abhi tak hain
jo shamen bach gai hain raunaq-e-mahfil abhi tak hain
nami goyam darin gulshan gul-o-bagh-o-bahaar az man
bahaar az yar o bagh az yar o gul az yar o yar az man
uDa dehli se aur uD kar main kalkatta mein aa pahuncha
thaka-haara hua sahil pe jaise naKHuda pahuncha
main apne sunne walon ke liye ban kar sada pahuncha
chala urdu ki KHatir az-kuja aur ta-kuja pahuncha
meri urdu teri ulfat mein ab rangoon aaya hun
tere ushshaq ki mahfil mein kuchh mazmun laya hun
Nazm
Rangoon ka mushaera
Syed Mohammad Jafri