ufuq ke us taraf kahte hain ek rangin wadi hai
wahan ranginiyan kohsar ke daman mein soti hain
gulon ki nikhaten har chaar-su aawara hoti hain
wahan naghme saba ki narm-rau maujon mein bahte hain
wahan aab-e-rawan mein mastiyon ke raqs rahte hain
wahan hai ek duniya-e-tarannum aabshaaron mein
wahan taqsim hota hai tabassum lala-zaron mein
sunahri chand ki kirnen wahan raaton ko aati hain
wahan pariyan mohabbat ke KHuda ke git gati hain
kanar-e-ab-e-husn-o-ishq baham sair karte hain
gai-guzri ghalat-fahmi ka zikr-e-KHair karte hain
wahan ke rahne walon ko gunah karna nahin aata
zalil o mubtazil jazbaat se Darna nahin aata
wahan ahl-e-mohabbat ka na koi nam dharta hai
wahan ahl-e-mohabbat par na koi rashk karta hai
mohabbat karne walon ko wahan ruswa nahin karte
mohabbat karne walon ka wahan charcha nahin karte
hum aksar sochte hain tang aa kar kahin chal den
meri jaan! ai mere KHwabon ki duniya chal wahin chal den
ufuq ke us taraf kahte hain ek rangin wadi hai
Nazm
Rangin wadi
Nazeer Mirza Barlas