tum meri mazbut si diwar ho
mere kamzor palon ki jild si
tabhi har mausam se be-KHauf bachaya hai use
jild saKHt aur wahi rangin si rahe
pichhle baras yaad hai
kitni umas thi
hum galne se lage the aansuon se ya badle
mausam se
shayad donon se
jaanti hun jild ki fitrat
kasi bandhi puKHta kone rundne ke baad
bhi mazbut si
lekin ab safhe galne lage
be-waqt mausam se
sambhaal sako to muDai kar lo phir se
aksar purani jild nae safhon mein be-maani be-raunaq si malum hoti hai
safhe lugdi se gal jae kahin
Nazm
Rangin jild
divya maheshwari