wadi-e-majnun mein
aabru-e-KHun mein
ru-e-sar-shaar-o-hasin
manzar-e-shab ke qarin
main tumhein tartib dun
qurb ki targhib dun
aks ki tarif mein
rasm ki tahrif mein
ek afsana kahun
subh tak jalta raha hun
tum KHiram-e-naz se
nutq-o-lab ke saz se
marg-asa jaan-ba-lab
jada-e-tarik jab
zinda-o-raushan karo
aur lahra kar chalo
qatl kar dena use
aks jo tum sa na tha
harf jo mujh sa na tha
jazb-e-shoala-KHu na tha
rang jo KHushbu na tha
Nazm
Rang jo KHushbu na tha
Balraj Komal