tum na aae the to har ek chiz wahi thi ki jo hai
aasman hadd-e-nazar rahguzar rahguzar shisha-e-mai shisha-e-mai
aur ab shisha-e-mai rahguzar rang-e-falak
rang hai dil ka mere KHun-e-jigar hone tak
champai rang kabhi rahat-e-didar ka rang
surmai rang ki hai saat-e-bezar ka rang
zard patton ka KHas-o-KHar ka rang
surKH phulon ka dahakte hue gulzar ka rang
zahr ka rang lahu rang shab-e-tar ka rang
aasman rahguzar shisha-e-mai
koi bhiga hua daman koi dukhti hui rag
koi har lahza badalta hua aaina hai
Colour of My Heart
ab jo aae ho to Thahro ki koi rang koi rut koi shai
ek jagah par Thahre
phir se ek bar har ek chiz wahi ho ki jo hai
aasman hadd-e-nazar rahguzar rahguzar shisha-e-mai shisha-e-mai
Before you came,
all stood still,
seemed as it is, as it really is;
the sky was the sightâs limit,
the road, a road,
the glass of wine, a glass of wine.
Nazm
Rang hai dil ka mere
Faiz Ahmad Faiz