KHali kamre mein mera raKHt-e-safar rakkha hai
chand arman hain poshida nihan-KHane mein
kirchiyan KHwab ki rakkhi hain hifazat se kahin
aur kuchh phul chhupa rakkhe hain anjaane mein
DhunDhti phirti rahi ruh kisi sathi ko
dar-ba-dar Thokaren khata raha pindar mera
apni miTTi se bhi uTThi nahin sondhi KHushbu
ghair ke des mein luTta raha sansar mera
ajnabi aankhon mein manus wafaon ka charagh
ek ummid pe jalta raha ghup raaton mein
jism miTTi ki tarah ghulta raha pani mein
rang be-rang hue jate the barsaton mein
teri ummid pe khola hua dar rakkha hai
KHali kamre mein mera raKHt-e-safar rakkha hai
Nazm
RaKHt-e-safar
Shaista Mufti