railway line par
mor so raha hai
tez raftar train
yahan se mat guzro
line-man se kaho
kanTa badal de
tumhaara rasta tabdil ho jaega
ya phir ek surKH lalTain
railway line ke sath rakh de
kisi na kisi tarah
tumhein rok le
railway line par mor so raha hai
use is ke KHwab se bahar mat nikalo
wo apne KHwab mein
kisi nae baadshah ki tarah
pahli bar gardan uTha ke chal chal raha hai
us ki saltanat
us ke paron ki tarah rangon se bhari
aur khuli hui hai
use be-rang mat karo
use mat ujaDo
us ki baadshahat ka KHatma
itni jaldi mat karo
agar hamare aansuon ki
koi qimat nahin hai
tab bhi hamare sare aansu
hamesha ke liye apne pas rakh lo
hamare mor ki nind
us ki besh-qimat nind
us ke paron ki yakjai
hamare kitni aham hai
tumhein nahin malum
tez raftar train
ye sab kuchh hum se mat chhino
railway line par mor ko sone do
wo hamesha soya nahin rahega
raat bhar ke liye use sone do
agar tum ne us ke paron ko
bikher diya
to hamari zindagi mein logon
aur chizon ki tartib
KHatm ho jaegi
hamari aankhon mein maujud
mohabbat ki aaKHiri chamak KHatm ho jaegi
hamare dilon se rang uD jaenge
railway line par
us ke paron ko mat bikhero
warna jo bhi unhen uThaega
is ki ungliyon mein umr bhar
kanTe chubhte rahenge
is ki aankhon mein hamesha
suiyan bhari rahengi
ye par Diary mein rakhne ke
ya laDkiyon ke liye
pankhe banane ke kaam nahin aate
agar ek bar mor ke par
ya us ki nind bikhar jae
to hamein aur tumhein tez raftar train
koi nahin chalne dega
zinda bhi nahin rahne dega
railway line par nahin sone dega
Nazm
Railway line par mor
Zeeshan Sahil