ye hamara shahr jo shahr-e-'kalim'-o-'shad' hai
dost is ka aaj-kal charKH-e-sitam-ijad hai
ek zamana tha ki ganga ka ye ham-saya nagar
sher-o-hikmat ke liye tha dars-gah-e-mo'tabar
bhai-chaara aur rawa-dari ka tha har-su riwaj
apne apne shughl mein masruf rahta tha samaj
shaeran-e-KHush-nawa din raat aate the nazar
gungunate sher kahte har gali ke moD par
aise be-fikron ko jin ki taba mauzun hi na thi
shauq tha kankawwe-bazi ka, bajae-shaeri
mulk mein tahrik-e-azadi ka aaya daur jab
mashghale tafrih ke, DhunDe gae kuchh aur tab
thi kabhi to bhuk-haDtal strike, mar-dhaD
aur kabhi thi nare-bazi dhar ise us ko pichhaD
baad-e-azadi nai masrufiyat ka dar khula
nim to hai nim hi us par karaila bhi chaDha
ek nai tahrik aai le ke kuchh tabdiliyan
yani ab tafrih ka saman-e-nau hain railiyan
jis tarah hon khetiyon par hamla-awar TiDDiyan
yunhi ahl-e-shahr ke haq mein hain lanat railiyan
kursiyon se jo siyasat-zad-gan mahrum hain
railiyan un ke liye ba-maqsad o mafhum hain
rang-daron ko mila kar bhiD ikaTThi ki gai
chappa chappa par gali-kuchon ke jo qabiz hui
dafatan mafluj ho kar rah gaya har kaam-kaj
shahr mein chalta raha kuchh der tak rawan ka raj
ittifaqan gar koi dukan khuli pai gai
KHub ji bhar ke wo luTi aur jalwai gai
har dar-o-diwar ke niche khaTalon ki qatar
bich saDkon par maweshi aur ghalazat ki bahaar
aur is manzar ke pichhe raili-bazon ka hujum
tujh ko le aaya kahan ai shahr tera baKHt-e-shum
Nazm
Railiyan hi railiyan
Raza Naqvi Vahi