phir wahi baDhte hue rukte hue qadmon ki chap
phir wahi sahmi hui simTi hui sargoshiyan
phir wahi bahki hui mahki hui si aahaTen
phir wahi gati si lahraati si kuchh madhoshiyan
zindagi tufan thi sailab thi bhaunchaal thi
waqt phir bhi karwaTon par karwaTen leta raha
qafile is rah par aate rahe jate rahe
rahbar sab ko masafat ka sila deta raha
wo tabassum jis ko rote hain kai ujDe suhag
ban raha hai ek lachakta KHar apne panw mein
wo nazar jo kal talak har jism ko Dasti rahi
aaj sustane lagi hai maslahat ki chhanw mein
kitni ummidon ke madfan us ke hathon ban chuke
kitne armanon ke lashe us ne KHud kafnae hain
aah ye maqtal ki jis ke pasbani ke liye!
kitne mustaqbil fana ke dosh par lahrae hain
kulfaton se tang aa kar be-KHudi ki khoj mein
qafile is rah par aate rahen jate rahen
rahbar sab ko masafat ka sila deta rahe
rah-rau apne tajassus ka sila pate rahen
Nazm
Rahguzar
Qateel Shifai