zamin nai thi, falak na-shanas tha jab hum
teri gali se nikal kar su-e-zamana chale
nazar jhuka ke ba-andaz-e-mujrimana chale
chale ba-jeb-e-darida, ba-daman-e-sad-chaak
ki jaise jins-e-dil-o-jaan ganwa ke aae hain
tamam naqd-e-siyaadat luTa ke aae hain
jahan ek umr kaTi thi, isi qalam-rau mein
shanaKHt ke liye har shahrah ne Toka
har ek nigah ke neze ne rasta roka
jahan jale the tere husn-e-atishin ke kanwal
wahan alaw to kya, rakh ka nishan bhi na tha
charagh-e-kushta-e-mahfil dhuan dhuan bhi na tha
musafirat ne pukara nae ufuq ki taraf
agar wafa ki shariat ka ye sila hoga
nae ufuq se taaruf ke baad kya hoga
Nazm
Rah-o-rasm-e-ashnai
Mustafa Zaidi