اردو हिंदी
Raftagan | Shaahi Shayari
raftagan

Nazm

Raftagan

Muneebur Rahman

;

hain yaad-ha-e-rafta ke diwar-o-dar kahan
wo sang-e-astan kahan wo rahguzar kahan

dasht-e-wafa mein dawat-e-diwangi kise
majbur gham ko ruKHsat-e-ah-e-sahar kahan

un raston mein DhunDte phirte hain naqsh-e-pa
ai ham-rahan-e-taza wo ahl-e-safar kahan

hai kaun jis ko nazr karen aansuon ke phul
le jaen aaj aabru-e-chashm-e-tar kahan

har ajnabi se puchh rahe hain nishan-e-rah
nau-waridan-e-shahr ko ghar ki KHabar kahan

dar dar ki KHak chhante ye din to kaT gaya
ab fikr-e-shab hai dekhiye hogi basar kahan