ek nida aai bahut dur se kanon mein mere
phir KHayal aaya ki ye wahm mera ho shayad
mere uljhe hue KHwabon ke sanam KHane hain
mere anfas ki mauhum sada ho shayad
main tasawwur ke KHalaon mein bhaTakta hun sada
shabnami soch ki ras aati nahin mujh ko hawa
jo mere shauq-e-takallum ki talabgar na ho
is se qurbat ki tamanna ka taqaza be-sud
KHwab jo aankhon mein majhul nazara ho jae
us ke sach hone ka be-mani dilasa be-sud
be-nida KHwahish laila se mujhe kya hasil
aisi nadida zuleKHa se mujhe kya hasil
kya KHabar is ke taKHayyul mein mera nam na ho
mujh se milne ki himaqat se wo katra jae
kya pata meri rifaqat use manzur na ho
mujh se mil baiThe magar jald hi ukta jae
wasl mamura-e-ehsas ke KHwabon mein rahe
hasrat sharaf mulaqat sarabon mein rahe
kya pata us ko mere qurb ki KHwahish hi na ho
baat karni bhi na ho us ko gawara mujh se
kya KHabar pahli mulaqat pe wo ye kah de
rakhna ummid na milne ki dobara mujh se
ye tasawwur mere pindar se Takraate hain
mere jazbaat isi KHauf se mar jate hain
jo sada dur se aai hai faqat wahm se wo
wahm ke sae se ummid lagana hai fuzul
dahr ki talKH haqiqat ko nazar mein rakh kar
ret par KHwabon ki taswir banana hai fuzul
aisi taswir ka har rang utar jata hai
waqt ke sath KHalaon mein bikhar jata hai
Nazm
Rafiq-e-nadida
Shamsi Tasneem