اردو हिंदी
Radd-e-amal | Shaahi Shayari
radd-e-amal

Nazm

Radd-e-amal

Salam Machhli shahri

;

ek haqiqat ek taKHayyul
naqrai si ek kashti

do munawwar qumqume
in pe maghrur thi

is zamin ki hur thi
kis qadar masrur thi

TuT ja aaine
ab teri zarurat hi nahin

nuqrai kashti hai ab bachchon ki ek kaghaz ki naw
wo munawwar qumqume bhi ho gae hain aaj fuse

aur sarapa bazm hun main
koi KHalwat hi nahin

TuT ja aaine
ab teri zarurat hi nahin