اردو हिंदी
Radd-e-amal | Shaahi Shayari
radd-e-amal

Nazm

Radd-e-amal

Mohammad Alvi

;

khuli khiDki pe ek buDha kabutar
paron mein munh lapeTe so raha hai

dar-o-diwar chup sadhe hue hain
gali ka shor bujh kar rah gaya hai

koi aawaz ab aati nahin hai
mera kamra KHamoshi se bhara hai

abhi wo mujh se baaten kar raha tha
magar ab dekhiye to ja chuka hai!