kis liye us shai ka ab matam karun
kis liye us shai ka ab matam karun
roz-o-shab ka husn jin logon se tha wo aur tha
un ke ek ek rang roz-o-shab ka tha
kya ajab aaghaz-e-hasti, kya ajab aaghaz-e-kar
jaise wo isar-pesha mard dana-o-ghamgin
jin ke dil mein dard rahte the makin
ek diya tanha kisi ka kyun jale
aise hi bas KHwab the
zindagi ko jaante the is tarah
tum se ho mujh se ho aur un sab se ho
kis liye us shai ka ab matam karun
aaina-bar-kaf idhar apne hi hain
ye mere waqton ke log aur aap main
Nazm
Rab nawaz mail
Mohammad Izhar ul Haq