shirin nirmal jharne jaisi
ThanDi taza hawa ke aisi
rim-jhim aur barkha ki tarah tu
suraj aur chanda si saKHi hai
jalti dhup mein baadal hai tu
rab ke pyar ki chhagal hai tu
han man bilkul aisi hai tu
to sita to mariyam hai man
rabiya aur safiya hai
tu hai yashodha tu hai halima
zainab tu hai fatima hai tu
parwati aur dewki hai
aamna aur hawwa hai tu
ye dharti ye duniya tujh se
duniya ki sab raunaq tujh se
tu duniya ki malik hai
ye duniya teri hai man
tu ne hum ko kya kya baKHshe
pair payambar bhai dost
aur phulon si bahna di
har sukh aur har gham ki sathi
bilkul apni hi jaisi
mahbuba bhi tu ne di
tu sach-much dewi hai man
sare rishte nate tujh se
rishton ki janani hai tu
han man bilkul aisi hai tu
tu hai karim aur tu hai halim
KHaliq tu hai raaziq hai tu
sattari ghaffari tujh mein
rahmat aur azmat ki murat
rab ke sare gun hain tujh mein
man bilkul tu rab jaisi hai
ya shayad rab tere jaisa
kyun ki man ab rab bhi to
teri tarah majbur bahut hai
apnon ke zaKHmon se wo bhi
lagta hai ki chor bahut hai
man bilkul tu rab jaisi hai
ya shayad rab tere jaisa
Nazm
Rab bhi taire jaisa hai man
Abu Bakr Abbad