raat ke kale badan pe sitare Tankne ki mashq
apni ruh par paiwand lagane jaisi mushkil nahin hoti
aasman se laTakti shaKHon par
mannaton ke dhage kab tak bandhe ja sakte hain
bujhe hue koele aur gili lakDi chingari nahin pakaDte
soi hui sard mohabbat ne karwaT badal li hai
charagh le kar safar par nikalne wali titli ko
chaudah din purane chand se kya gharaz
bahti hui saDkon se apna rasta chun lena
aur aawazon mein se apne hisse ki aawaz sun lena
aasman ke bas mein kab hai
us ke juzdan mein lipTi sahife jaisi raat nazil ho gai hai
sat suron mein bahta raat ka ye pahla pahar aur
kin-min sa barasta tumhaara narm ehsas
barish ke baen gal par rakha hua hai
aag barish ki boli bol rahi hai
september ki gyarahwin raat hai
saDak ki silwaTon par aThkheliyan leti mohabbat ko
barish ke pani se ba-wazu daraKHton ne sajda kar liya hai
Nazm
Raazi-nama
Injeel Saheefa