sham o sahar ke manzar gahri udasiyon ke
parde gira rahe hain
waqif to thin hamesha un se meri nigahen
oDhe na thin fazaen
yun kohar ki abaen
kuchh tha jo kho gaya hai?
shaKH-e-nazar pe dahka
barg-e-hina ka shola
yun kanpta hai jaise
miTta koi hayula
sham o sahar se koi mafrur ho gaya hai?
sine mein main taqatur
bundon ka sun raha hun
ek KHwab bun raha hun
is mein kise bulane?
be-nam aarzu ka ye raaz kaun jaane
Nazm
Raaz
Asif Raza