mast hawa jab sawan ki angDai le kar aati hai
aur falak par kali kali badli jab chha jati hai
chham-chham chham-chham nannhi bunden iThla kar jab aati hain
prem ki halki tanon mein rawi ki lahren gati hain
bhige bhige sawan mein jab koyal kuk sunati hai
pael ki jhankaron ki jab dhimi aahaT aati hai
us waqt kinare rawi ke ek dilkash manzar hota hai
pichhle pahar jab dhimi dhimi ThanDi hawaen aati hain
ganw ki sundar aankhon wali pani bharne jati hain
prem ke mandir mein ganga-jal koi chaDhane jati hai
dewi ke charnon mein koi miThe bol sunati hai
rawi ki lahron mein chhup kar murli koi bajata hai
jangal ki KHamosh faza mein amrit-ras barsata hai
us waqt kinare rawi ke ek dilkash manzar hota hai
sabza phul patawar ghunche aur naghme so jate hain
dharti par aakash se jab masum farishte aate hain
sham hui mandir mein dekho ghanTe log bajate hain
raat hui bailon ko le kar harwahe ab jate hain
halki halki bundon mein jab duniya sawan gati hai
hari-bhari shaKHon mein chhup kar koyal kuk sunati hai
kuchh din ke bichhDe hue sathi hans ke gale jab milte hain
chandni raaton mein ghunche jab chaTak chaTak kar khilte hain
us waqt kinare rawi ke ek dilkash manzar hota hai
Nazm
Rawi kinare
Jauhar Nizami