mez chup-chap ghaDi band kitaben KHamosh
apne kamre ki udasi pe taras aata hai
mera kamra jo mere dil ki har ek dhaDkan ko
sal-ha-sal se chup-chap gine jata hai
johd-e-hasti ki kaDi dhup mein thak jaane par
jis ki aaghosh ne baKHsha hai mujhe man ka KHulus
jis ki KHamosh inayat ki suhani yaaden
loriyan ban ke mere dil mein sama jati hain
meri tanhai ke ehsas ko zail karne
jis ki diwaren mere pas chali aati hain
samne taq pe rakkhi hui do taswiren
aksar auqat mujhe pyar se yun takti hain
jaise main dur kisi des ka shahzada hun
mera kamra mere mazi ka haqiqi munis
aaj har fikr har ehsas se begana hai
apne hamraaz kiwaDon ke ahate ke ewaz
aaj main jaise mazaron pe chala aaya hun
gard-aluda calendar pe ajanta ke nuqush
mere chehre ki lakiron ki taraf dekhte hain
jaise ek lash ki phaili hui be-bas aankhen
apne majbur azizon ko taka karti hain
ye kitaben bhi mera sath nahin detin aaj
'keats' ki nazm 'arastu' ke hakimana qaul
sang-marmar ki imarat ki tarah sakit hain
tu hi kuchh baat kar ai mere dhaDakte hue dil
tu hi ek mera sahaara hai mera munis hai
tu hi is sard andhere mein charaghan kar de
laxmi-dewi to meri baat nahin sun saktin
mujh ko malum hai kya bit chuki hai tujh par
mere chehre ke sulagte hue zaKHmon ko bhi dekh
meri aankhon pe meri fikr pe pabandi hai
main use chahun bhi to yaad nahin kar sakta
tu use kho ke machal sakta hai ro sakta hai
aur main luT ke bhi fariyaad nahin kar sakta
isi aaine ne dekhe hain hamare jhagDe
yahi zina hai jahan main ne use chuma tha
in qamizon mein in uljhe hue rumalon mein
us ke baalon ki mahak aaj bhi aasuda hai
jo kabhi meri thi inkar pe bhi meri thi
ab faqat bazm-e-tasawwur mein nazar aati hai
raat bhar jag ke likkhi hui tahriron se
ab bhi un aankhon ki taswir ubhar aati hai
chandni khul ke nikhar aai hai darwaze par
os se bhigte jate hain purane gamle
kis qadar narm hai kaliyon ka suhana saya
jaise wo honT jinhen pa ke bhi main pa na saka
ai taDapte hue dil aur sambhal aur sambhal
ye teri chap se jag uTThengi to kya hoga
subh kya jaane kahan hoti hai kab hoti hai
jaane insan ne kis waqt ye neamat pai
meri qismat mein bas ek silsila-e-sham-o-sahar
mere kamre ke muqaddar mein faqat tanhai
Nazm
Raat sunsan hai
Mustafa Zaidi