aandhiyan aasmanon ka nauha zamin ko sunati hain
apni gulu-gir aawaz mein kah rahi hain,
daraKHton ki chinghaD
nichi chhaton par ye raqs aasmani bagulon ka
unchi chhaton ke tale khele jate Darama ka manzar hai
ye us zulm ka istiara hai
jo shah-e-rag se habil ki garm o taza lahu ban ke ubla hai
aandhiyon mein tha ek shor-e-karb-o-bala
aur main ne suna karbalakarbala
raat ke saham se, an-kahe wahm se
band aankhon mein wahshat zada KHwab utra
subah aKHbar ki surKHiyan ban gaya
Nazm
Raat
Sajjad Baqar Rizvi