chuDiyan bajti hain chhagal ki sada aati hai
fart-e-betabi se uTh uTh ke nazar baiTh gai
tham kar aas har aahaT pe jigar baiTh gai
mera gham-KHana ibarat raha tariki se
mauj-e-mahtab kahan KHak-ba-sar baiTh gai
shabnam-alud hua jata hai shab ka daman
tare chamke hain ki ab gard-e-safar baiTh gai
bhigti raat naha kar mere ashk-e-KHun mein
jaane ko uTThi hi thi uTh ke magar baiTh gai
us ne dekha ki meri rani lajati aai
aankhen malti hui fitnon ko jagati aai
sar se Dhalka hua aanchal shikan-alud libas
chhaDi aankhon mein machalti hui nindon ki jhalak
so gai thi zara KHud sab ko sulate shayad
nind kachchi thi ki di wade ne dil par dastak
chaunk kar uTThi to dekha ki sitare ban kar
auj-e-aflak pe hai mang ki afshan ki damak
shisha-e-mah se chhalak kar mai-e-tund-o-be-dard
us ke mathe se chura leti hai sone ki Dalak
chuDiyan hathon mein thame chali haule haule
kar de ghammazi mubaada kahin chhagal ki chhanak
surKHi Tike ki jabin par zara phaili phaili
jis tarah jam se kuchh thoDi si mai jae chhalak
zulfen yun chehre pe bikhri hui mangen thin dil
jis tarah ek khilaune pe miTen do baalak
jis tarah gham-KHane pe pahunchi to kuchh aaya jo KHayal
chuDiyan chhoD din chhagal bhi hansi chhana-chhanak
fikr hai aai to hai nind ki gomati hai
chuDiyan bajti hain chhagal ki sada aati hai
Nazm
Raat ki baat
Mukhtar Siddiqui