raat behad chup hai aur us ka andhera sharmagin
sham paDte hi damakte the jo rangon ke nagin
dur tak bhi ab kahin un ka nishan milta nahin
ab to baDhta aaega ghanghor baadal chah ka
us mein bahti aaegi ek madh-bhari miThi sada
dil ke sune shahr mein gunje ga naghma chah ka
raat ke parde mein chhup kar KHun rulati chahto
is qadar kyun dur ho mujh se zara ye to kaho
mere pas aa kar kabhi meri kahani bhi suno
siskiyan leti hawaen kah rahi hain chup raho
Nazm
Raat ki aziyyat
Muneer Niyazi