اردو हिंदी
Raat ki aankh mein ek KHanjar uga | Shaahi Shayari
raat ki aankh mein ek KHanjar uga

Nazm

Raat ki aankh mein ek KHanjar uga

Akhtar Yusuf

;

raat ki aankh mein ek KHanjar uga
raat kali hai ujli hai pili hai nili hai ya phir

raat ka koi rang hi nahin hai
magar jo bhi ho raat kali hai aisa samajh lijiye

raat kali hai bahti hai jaise nadi andhe pani ki kohre ki ya dhund ki
raat ki aankh mein ek KHanjar uga

ek wahshi parinde ne KHanjar ka bosa liya
nok-e-KHanjar parinde ki aankhon mein sazish ka nasha macha

KHwab ki dhund andhi nadi zard shoala bani aur bahti rahi
phir kahin zard rangon ke patthar ki barish parae shahr mein rawana hui

rahaton ke makan ke munDeron se rahat ke kawwe uThe
shor ki kankari se kuen bhi bhare aaina aaina si faza bhi jali

ek qisse ki anti purani nai phir kahin bum ka aashiyana bani
raat ki aankh mein ek KHanjar uga